jaana chaho to kis ne roka hai

jaana chaho to kis ne roka hai
bin mere ji sakoge achchha hai

jab se us ne kaha khuda-hafiz
tab se sab kuchh dhuan dhuan sa hai

aap se dhadkanon ki raunaq hai
dil mujhe aap jaisa lagta hai

tum nahin aae milne sawan mein
barishon ka mizaj phika hai

ye to bas dil hi jaanta hai mera
main ne kis dil se tujh ko chhoda hai

kal hua tha guzar yahan us ka
shahr ka pani kal se mitha hai

mujh ko duniya samajh mein kya aati
ek hi shakhs ko jo socha hai

khud se banti nahin kabhi 'iqra'
jaane kis baat ka ye jhagda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close