hazar ranj ho dil lakh dard-mand rahe khayal past na ho hausla buland rahe gham-e-firaq mein dil kyun na dard-mand rahe bahaar aa ke gai hum qafas mein band rahe khuda ki yaad mein duniya ko bhul ja ai dil wo kaam kar ki har ek tarf sud-mand rahe mile ki kuchh na mile mangne se kaam rakhun teri janab mein dast-e-dua buland rahe dikhain gardish-e-dauran ne suraten kya kya magar mujhe to akele tumhin pasand rahe ghurur-e-husn unhen inkisar-e-shewa-e-ishq wo be-niyaz rahe hum niyaz-mand rahe janab-e-shaikh bhi 'makhmur' shab ko rindon mein ajib haal se masruf-e-waz-o-pand rahe