jaana hai usi samt ki chaara nahin koi jis samt ko rasta bhi nikalta nahin koi bas dil ka hai sauda koi bazi nahin sar ki thoda sa hai nuqsan ziyaada nahin koi manjdhaar mein kashti ka badalna nahin manzur aisi mujhe sahil ki tamanna nahin koi har shakhs yahan gumbad-e-be-dar ki tarah hai aawaz pe aawaz do sunta nahin koi hum sina-sipar aa gae maidan-e-wigha mein ab kyun saf-e-ada se nikalta nahin koi mana ki bura hai jo kam-amez hun itna ye tera taghaful bhi to achchha nahin koi wo shobada-gar hi na raha khel hua khatm hone ko bas ab aur tamasha nahin koi ek naqd-e-hunar hai ki nahin jis ki koi qadr pas is ke siwa aur asasa nahin koi pamali-e-gulshan ki ye taswir hai 'mohsin' shadabi-e-gulshan ka ye naqsha nahin koi