sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno kabhi guzro nur-sara se meri kabhi mujh ko mujh se chura ke suno mera dil bhi koi panghat hai jahan pariyan pani bharti hain koi pida nahin koi shor nahin sab pani mera gahra ke suno din raat zamin ki gardish par sur-tal bithate rahte ho kabhi khud ko bhi hairan karo kabhi dil ki baat suna ke suno jo gardan mein ek kham sa hai ye kab se hua malum nahin ye shan nishan to milta hai jab sine ki pathra ke suno