jaane aisi than kar baitha hai kya mere liye aaj mange ja raha hai wo dua mere liye muztarib dil ko mere aaram aa hi jaega kijiye tajwiz koi to dawa mere liye meri qismat mein to likkhe hain ghamon ke silsile khush raha kar tu na apna dil dukha mere liye husn ki tabaniyon ko main bhi to dekhun zara tu rukh-e-zeba se ye parda hata mere liye bhul jata hun sabhi kuchh yaad rahta kuchh nahin ban gaya hai ek ye bhi masala mere liye hijr aansu mai-kashi ranj-o-alam aah-o-fughan ya-ilahi kya yahi kuchh rah gaya mere liye sang-dil mashhur tha jo shahr bhar mein dosto mujh ko hairat hai ki wo bhi ro pada mere liye ye qayamat ke mujhe aasar lagte hain miyan chalte chalte wo achanak ruk gaya mere liye tangi-e-daman se main 'ejaz' ghabraya nahin khol dega aur darwaze khuda mere liye aaj saqi dekh kar 'ejaz' meri tishnagi jam-o-saghar le ke ghar mein aa gaya mere liye