kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand

kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand
sangam pe roz-o-shab ke dhala bar bar chand

aai na raat bhar koi panghat pe sanwli
pani mein chhup ke baitha raha be-qarar chand

kirnon ki doriyon se ulajhte ho kis liye
kuchh bhi na de sakega tujhe dagh-dar chand

bazu ke daere wo mahak chudiyan khanak
do-sae zard-chandni dhimi pukar chand

suraj tha wo to sham se pahle hi dhal gaya
nile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand

har roz mere ghar mein utarta hai kis liye
mujh ko bhi apne shahr mein ek din utar chand

basti ke log jaaniye kya sochte rahe
baadal ki chhat pe soya raha sogwar chand

ab chandni ke nam se nafrat si ho gai
'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close