jaane hum ye kin galiyon mein khak uda kar aa jate hain ishq to wo hai jis mein na-maujud mayassar aa jate hain jaane kya baaten karti hain din bhar aapas mein diwaren darwaze par qufl laga kar hum to daftar aa jate hain kaam mukammal karne se bhi sham mukammal kab hoti hai ek parinda rah jata hai baqi sab ghar aa jate hain apne dil mein gend chhupa kar un mein shamil ho jata hun dhundte dhundte sare bachche mere andar aa jate hain mim mohabbat padhte padhte likhte likhte kaf kahani baithe baithe is maktab mein khak barabar aa jate hain roz nikal jate hain khali ghar se khali dil ko le kar aur apni khali turbat par phul saja kar aa jate hain khak mein ungli pherte rahna naqsh banana wahshat likhna in waqton ke chand nishan ab bhi kuzon par aa jate hain nam kisi ka ratte ratte ek girah si pad jati hai jin ka koi nam nahin wo log zaban par aa jate hain phir bistar se uthne ki bhi mohlat kab milti hai 'adil' nind mein aati hain aawazen khwab mein lashkar aa jate hain