kabhi khushbu kabhi aawaz ban jaana padega parindon ko kisi bhi shakl mein aana padega khud apne samne aate hue hairan hain hum hamein ab is gali se ghum kar jaana padega use ye ghar samajhne lag gae hain rafta rafta parindon se qafas aamada karwana padega udasi wazn rakhti hai jagah bhi gherti hai hamein kamre ko khali chhod kar jaana padega main pichhle bench par sahma dara baitha hua hun samajh mein kya nahin aaya ye samjhana padega yahan daman pe naqsha ban gaya hai aansuon se kisi ki justuju mein dur tak jaana padega taaruf ke liye chehra kahan se laenge hum agar chehra bhi ho to nam batlana padega kahin sanduq hi tabut ban jae na ek din hifazat se rakhi chizon ko phailana padega khuda-hafiz buland aawaz mein kahna padega phir us aawaz se aage nikal jaana padega jahan peshen-goi khatm ho jaegi aakhir abhi is rah mein ek aur virana padega ye jangal bagh hai 'adil' ye daldal aab-e-ju hai kahin kuchh hai jise tartib mein lana padega