jaane in aankhon ne us dasht mein dekha kya kya mere sine mein koi shor utha tha kya kya aaj tak parda-e-tabir se bahar na mila aur hota hai shab-o-roz tamasha kya kya shabnam-asar bhala chain se baitha kab hun khud ko phailata raha aankh mein sahra kya kya han wahi rang jo tartib na paya mujh mein apni aankhon mein wo karta raha gahra kya kya khub hote hi rahe sab khush-o-na-khush mujh mein mujh se sharminda raha zakhm-o-mudawa kya kya hath pairon mein kisi shauq ki halchal thi bahut dekhta hi raha main jaanib-e-sahra kya kya us ki be-mehri ka shikwa nahin hoga mujh se main bhi rakhta tha kabhi dil mein irada kya kya dur rahta hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanar dubta rahta hai dariya mein kinara kya kya