kabhi wo khush bhi raha hai kabhi khafa hua hai ki sara marhala tai mujh se barmala hua hai nashisten pur hain charagh-o-ayagh raushan hain bas ek mere na hone se aaj kya hua hai utha ke rakh do kitab-e-firaq ko dil mein ki ye fasana azal se mera suna hua hai kabhi na khali mila bu-e-ham-nafas se dimagh tamam bagh mein jaise koi chhupa hua hai meri giraft mein aata nahin hai wo pal-bhar meri nazar se mera dil abhi bacha hua hai usi ke izn-o-raza se hai sab nigah-dari ki dam-o-dana sabhi kuchh yahan pada hua hai main khwab mein bhi wo daman pakad nahin sakta ye hath aur kisi hath mein diya hua hai yahi bahut hai agar ek ham-sukhan mil jae main sun raha hun mera dil bhi to dukha hua hai miyan-e-wada koi uzr ab ke mat lana ki rahen sahal hain aur zakhm bhi khula hua hai wo be-khabar hai meri jast-o-khez se shayad ye kaun hai jo muqabil mere khada hua hai