jaane kaisa hai zindagi ka safar aagahi ka ya be-khudi ka safar khak se ban ke khak ho jaana daera mein hai har kisi ka safar itna mushkil hai jitna lagta tha hum ko aasan aashiqi ka safar ye patinge se puchh kaisa tha raushni se wo shoalagi ka safar gar kisi se tumhein mohabbat hai sang usi ke ho bandagi ka safar ajnabi jo the ho gae jigri kya maze ka hai dosti ka safar sath ghafil-nawa azal sab hai khub hai 'ahad' shairi ka safar