jaane kaisi baadalon ke darmiyan sazish hui mera ghar mitti ka tha mere hi ghar barish hui dahmaki auraq mein kal shab jo us ka khat mila nange panw ghas par chalne ki phir khwahish hui jin ki buniyaaden hi apne panw par girne ko thin un gharon ki reshmi pardon se aaraish hui mere khun ka zaiqa jab doston ne chakh liya jism ke phir ek ek qatre ki farmaish hui