mat takrana patthar ban kar aahan hum ho jaenge pyar se aa kar tum jo miloge gulshan hum ho jaenge raaz chhupana chaho to hum parde ka bhi kaam karen aur haqiqat chaho to phir darpan hum ho jaenge hum ko dushman mat samjho hum pyar sikhate hain sab ko jis mein bhare hon phul wafa ke daman hum ho jaenge khushiyon mein rangin bahaaron ka tum ko paigham bhi den dukh ke mausam mein aankhon ka sawan hum ho jaenge thukraya to kante ban kar rahon mein bujh sakte hain apnaya to aap ke ghar ka aangan hum ho jaenge pyar ka jadu sab ke sar par chadh kar phir to bolega tum banna kanha ki murli madhuban hum ho jaenge apna dukh-sukh lamha lamha mil-jul kar bantenge 'rag' tum ban jaana aankh ke aansu daman hum ho jaenge