jaane kis ki aahat ka intizar karta hai tut to chuka hai wo dekho kab bikharta hai zakhm chahe jaisa ho ek din to bharta hai aap soe hote hain waqt kaam karta hai roz chhup ke takta hai pyasi pyasi nazron se us ke ghar ke aage se dariya jab guzarta hai dil ka kya karun yaro manta nahin meri apne dil ki sunta hai apne man ki karta hai dil bujha bujha ho to kya bura hai rone mein barishon ke baad anjum aasman nikharta hai