hum sa diwana kahan mil paega is dahr mein ghar kiya tamir jis ne dimakon ke shahr mein khud-kushi karne mein bhi nakaam rah jate hain hum kaun amrit ghol deta hai hamare zahr mein kis ko hai marne ki fursat sab yahan masruf hain maut tu bekar mein aai hai aise shahr mein tuti kashti ki tarah hain waqt ke sahil pe hum kya zamana tha baha karte the apni lahr mein ek virani si anjum rah gai aaankhon mein ab khwab sare bah gae hain aansuon ki nahr mein