jaane kis kis ki tawajjoh ka tamasha dekha tod kar aaina jab apna hi chehra dekha aa lage gor kinare to mila muzhda-e-wasl raat dubi to ubharta hua tara dekha ek aansu mein hue gharq do-alam ke sitam ye samundar to tere gham se bhi gahra dekha yaad aata nahin kuchh bhi ki yahan duniya mein kaun si chiz nahin dekhi magar kya dekha ishq ke dagh hue mahw is aashob mein sab timtimata sa charagh-e-rukh-e-zeba dekha is ghalat-bini ka koi to natija hota umr bhar bahr-e-bala-khez ko sahra dekha koi is khwab ki tabir badal de ya-rab ghar mein bahta hua ek khun ka dariya dekha kho gae bhid mein duniya ki par ab tak 'shohrat' sansana uttha hai ji jab koi un sa dekha