koi lashkar ki dhadakte hue gham aate hain sham ke sae bahut tez qadam aate hain dil wo darwesh hai jo aankh uthata hi nahin us ke darwaze pe sau ahl-e-karam aate hain mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain main ne do chaar kitaben to padhi hain lekin shahr ke taur-tariqe mujhe kam aate hain khub-surat sa koi hadisa aankhon mein liye ghar ki dahliz pe darte hue hum aate hain