jaane kis ummid pe chhod aae the ghar-bar log nafraton ki sham yaad aae purane yar log wo to kahiye aap ki khushbu ne pahchana mujhe itr kah kar jaane kya kya bechte attar log pahle mangin sar-bulandi ki duaen ishq mein phir hawas ki chaakari karne lage bimar log aap ki sada-dili se tang aa jata hun main mere dil mein rah chuke hain is qadar hushyar log is jawan-mardi ke sadqe jaiye har baat par sar katane ke liye rahte hain ab tayyar log phailta hi ja raha hai din-ba-din sahra-e-ishq khak udate phir rahe hain sab ke sab bekar log baadshahat ho na ho lekin bharam qaem rahe har ghadi ghere hue baithe rahen do-chaar log