meri gardan par na jaane kis ka chehra rah gaya aaine ko main mujhe aaina takta rah gaya sara din bikhre hue khwabon ko yakja kijiye zindagi ke nam par bas ek tamasha rah gaya bhar rahi hai siskiyan kis ke liye nahr-e-furaat ai zamin-e-karbala ye kaun pyasa rah gaya apne ghar ko phunk den aur raushni paida karen ab hamare samne bas ek rasta rah gaya ek din fursat mein baithungi lagaungi hisab main ne kya kuchh kho diya aur pas mein kya rah gaya us ne to ek bar 'rakhshan' mujh ko dekha tak nahin mez ke kone mein rakkha mera tohfa rah gaya