jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras hum gham-zadon ke waste jaise chaman waise qafas rukhsat hua bimar-e-gham baalin se utthe ham-nafas tadbir to karte hain sab taqdir par kis ka hai bas mahshar mein us bedard se gar puchh-gachh ne dad ki aaya hun main fariyaad ko fariyaad sun fariyaad-ras mumkin nahin main chhut sakun dam-e-wafa-o-ishq se bandhe gae sab dast-o-pa jakdi gai ek ek nas qata-e-manazil main karun to kis sahaare par karun mafqud ahl-e-karwan masdud aawaz-e-jaras tu aur dawa ishq ka ye bhi khuda ki shan hai mansur banne ke liye dil chahiye ai bul-hawas kahne ko hai sara jahan sachche fidai hain kahan das mein na niklega koi das lakh mein niklenge das jae bahaar aae khizan is ka taraddud kuchh nahin hain lala-o-gul se siwa mujh ko chaman ke khar-o-khas tul-e-gham-o-azar ne nashad mujh ko kar diya hai ek ghanta ek din hai ek mahina ek baras kam-bakht marne ke liye sayyaad ke ghar aae hain dekhenge ab kya sair-e-gul chhut kar asiran-e-qafas pahunche sar-e-arsh-e-barin ummid to aisi nahin hathon hi tak mahdud hai meri dua ki dastaras qabu mein jab dil hi nahin to kya kahun main dard-e-dil badh kar hai tegh-o-tir se mere liye mera nafas sau bar de kar jam-o-khum mamnun saqi ne kiya is ka taqaza tha ki pi meri guzarish thi ki bas ai khizr aae lutf kya mashrab alag maslak juda marne ki hasrat mujh ko hai tum ko hai jine ki hawas un ke alawa kaun hai mere qarin koi nahin ya dahne baen aafaten ya aarzuen pesh-o-pas jam-o-subu ka zikr kya bahta phire khud mai-kada ai abr-e-rahmat tut kar aisa baras itna baras kya ibtida kya intiha jo aaega wo jaega duniya-e-fani kuchh nahin allah bas baqi hawas lutf-o-karam se kya gharaz qahr-o-sitam se kaam le barbaadi-e-ushshaq par apni kamar mazbut kas kab tak ye sail-e-ashk-e-gham kab tak ye tufan-kheziyan duniya fana ho jaegi ai 'nuh' bas ai 'nuh' bas