hum se chunan-chunin na karo hum nashe mein hain hum jo kahen nahin na karo hum nashe mein hain nashsha koi dhaki-chhupi tahrik to nahin har-chand tum yaqin na karo hum nashe mein hain aisa na ho ki aap ki banhon mein aa giren aankhon ko khashmagin na karo hum nashe mein hain baaten karo nigar o bahaar o sharab ki azkar-e-shar-o-din na karo hum nashe mein hain ye waqt hai 'adam' ki tawazoa ka sahibo tang apni aastin na karo hum nashe mein hain