jaane kya aas lagai hai safar se main ne ek tinka bhi uthaya nahin ghar se main ne warna chup kis se raha jata hai itna arsa tujh ko dekha hi nahin aisi nazar se main ne utar aaya hai harifon ki taraf-dari par wo jise samne karna tha idhar se main ne yun na kar wasl ke lamhon ko hawas se tabir chand patte hi to tode hain shajar se main ne dekhni ho kabhi bechaini to un se milna jin ko roka hai teri khair-khabar se main ne