jaane kya chehre ki ab haalat hui aaina dekhe hue muddat hui aansuon tak dil ne pahuncha di khabar raazdari bais-e-shohrat hui kar liye raushan wahin dil ke charagh rah mein hail jahan zulmat hui jam ka kya zikr tute saz tak ek faqih-e-shahr se hujjat hui yaad ne har zakhm taza kar diya khud khalish apni jagah lazzat hui hum rahe bedar un ki yaad mein un ko apne khwab se nisbat hui puchhta tha kaun tere shahr mein panw ki zanjir se izzat hui dekh kar un ki nawazish be-karan aaj 'saib' arz ki himmat hui