takhti qalam dawat se pahle ki baat hai ye ishq kaenat se pahle ki baat hai sach hai ki main bhi pyar ka munkir bana raha han han ye teri zat se pahle ki baat hai ab to tere ghalat pe bhi aamin kah diya inkar teri baat se pahle ki baat hai bas be-sabab furaat pe ilzam aa gaya ye pyas to furaat se pahle ki baat hai kin ka dahan talash karen mil ke dosto ye lafz shash-jahat se pahle ki baat hai main naz zindagi ke uthata raha baja par ye meri wafat se pahle ki baat hai ek karb-e-na-tamam se nikla to ro pada meri khushi najat se pahle ki baat hai 'kazim' tha khauf rizq-e-sukhan mein kami na ho ye ishq ki zakat se pahle ki baat hai