jaane kya soch ke us ne sitam ijad kiya khud bhi barbaad hua mujh ko bhi barbaad kiya shama ki tarah jale hum teri mahfil mein magar tu ne kis waqt hamein kaun si shab yaad kiya jumbish-e-lab ki ijazat hai na izn-e-parwaz kis liye tu ne mujhe qaid se aazad kiya shukr hai tu ne mujhe dard ke qabil samjha teri paiman-shikani ne mera dil shad kiya hae us shakhs ki khatir-shikani hoti hai jis ne apne ko teri yaad mein barbaad kiya apni barbaadi pe nazan bhi hun hairan bhi hun shamen raushan huin jab main ne tujhe yaad kiya tujh ko ye naz ki to khaliq-e-naghma hai 'khayal' mujh ko ye fakhr ki tu ne mujhe barbaad kiya