wahan har ek isi nashsha-e-ana mein hai ki khak-e-rahguzar-e-yar bhi hawa mein hai alif se nam tera tere nam se main alif ilahi mera har ek dard is dua mein hai wahi kasili si lazzat wahi siyah maza jo sirf hosh mein tha harf-e-na-rawa mein hai wo koi tha jo abhi uth ke darmiyan se gaya hisab kije to har ek apni ja mein hai nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam' bahaar-e-ashk nai rut ki ibtida mein hai