jaane kyun barbaad hona chahta hai surat-e-farhad hona chahta hai zehn se aakhir main ab thak haar kar mera dil aabaad hona chahta hai aasman wale ye sun kar hans pade aadmi aazad hona chahta hai har jagah tamir kar ke ek iram har koi shaddad hona chahta hai saneha ye hai ki ek bulbul ka dil daman-e-sayyaad hona chahta hai ho ke munsif takht pe ab jalwa-gar waqif-e-rudad hona chahta hai