ai shauq-e-dil bhi ek muamma ajib hai sahra ko aandhiyon ki tamanna ajib hai maujon ke iztirab ne dhadka diya tha dil utre jo hum utar gaya dariya ajib hai dushwar ho gai hai ab apni shanakht bhi aaina kah raha hai ki chehra ajib hai shakhen jo mere sahn mein hain un mein phal na aae hum sae ka darakht bhi kitna ajib hai uthti hai ek fasil to girti hai ek fasil 'fakhir' ye chahaton ka gharaunda ajib hai