jaane kyun log gham se darte hain hum to aalam mein nikharte hain jo khushi ke sarab mein gum hain wo khushi se hi apni marte hain gham bhi rakhte hain sath khushiyon ke zindagi mein jo rang bharte hain tut jate hain sab ghamon ke hisar moti khushiyon ke jab bikharte hain lakh khushiyan unhen mubarak hon hum ghamon se hi dil ko bharte hain dub jate hain jo kinare par wo kahan dub kar ubharte hain haalat-e-dil bataen hum un ko kaise din raat ab guzarte hain khul hi jate hain un pe aib-o-hunar aaine se jo baat karte hain aaina dekhta hai hairat se wo jis andaz se sanwarte hain kya bharosa hai zindagi ka 'asar' roz jite hain roz marte hain