jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain takmil-e-junun bhi hoti hai aur chaak gareban hote hain pur-kaif fazaen chalti hain makhmur ghataen chhati hain jab sehn-e-chaman mein jalwa-numa wo jaan-e-bahaaran hote hain hota hai sukun-e-qalb-o-jigar har zakhm mein lazzat aati hai o nawak-afgan tir tere taskin-e-rag-e-jaan hote hain kyun minnat-e-chaara-gar kije kyun fikr-e-dawa-e-dil kije bimar-e-mohabbat ke nale khud dard ka darman hote hain ye ahd-e-jawani shokhi-e-gul do din ki bahaaren hoti hain dekhen to kabhi wo rang-e-khizan jo husn pe nazan hote hain jab baad-e-bahaari aati hai har gul pe jawani chhati hai khil jate hain mere zakhm-e-jigar aur dagh darakhshan hote hain girdab muhafiz hota hai ai bahr-e-hawadis bekas ka khinch aata hai sahil maujon mein jab josh pe tufan hote hain kya mujh ko zarurat ai 'anwar' kyun un ke sitam ka shaki hun jab yaad jafaen aati hain wo khud hi pasheman hote hain