jaane kyun pyas ki chaukhat pe wo aa baitha hai main ne har gam naya abr jise bakhsha hai ek lamhe ko bhi mud ke nahin dekha us ne jaane wale ko bahut dur talak dekha hai khak se pak libaadon ki mahak aati hai qafila dasht ke aangan mein khila kis ka hai moajiza us ko hi kahti hai ye duniya shayad mujh ko ummid na thi par wo palat aaya hai ek nazar main ne jise pyar se dekha 'noman' wo parinda meri dahliz pe aa baitha hai