jaane shab-e-firaq mein kya yaad aa gaya

jaane shab-e-firaq mein kya yaad aa gaya
dil yun tadap utha ki khuda yaad aa gaya

baad-e-saba ki chhed se sharmae phul jab
chehre ka us ke rang-e-haya yaad aa gaya

aai shab-e-firaq jo mahki hui saba
us waqt qurb-e-zulf-e-duta yaad aa gaya

ek bewafa se tark-e-talluq na kar sake
har bar hum ko ahd-e-wafa yaad aa gaya

kyon ashk marne walon ki aankhon mein aa gae
kya lutf-e-zist waqt-e-qaza yaad aa gaya

chheda hai jab kisi ne kisi bewafa ka zikr
hum ko kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya

dasht-e-junun mein pairon se khun rista dekh kar
hathon ka us ke rang-e-hina yaad aa gaya

jab bhi chaman mein phul khilae bahaar ne
us kaj-ada ka husn-e-qaba yaad aa gaya

anjam-e-ishq ne jo sataya kabhi 'zafar'
aaghaz-e-ishq ka bhi maza yaad aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close