hamein to KHwabon ki wadiyon mein hayat ko hai tamam karna

hamein to khwabon ki wadiyon mein hayat ko hai tamam karna
tumhaari yaadon mein subh karna tumhaari yaadon mein sham karna

bhulane wale ka yaad aana sitam nahin hai to aur kya hai
ki khud to ishrat ki nind sona hamari ninden haram karna

bana ke apna badalne wale hai yaad hum ko bhi wo zamana
tapak se tera hum se milna wo tera hans kar kalam karna

mera muqaddar hai na-muradi main gham ka khugar main gham ka aadi
tujhe bhi gar koi gham mile to use bhi mere hi nam karna

bichhad ke bhi us se rabta hai ye silsila hai ye mashghala hai
usi ki yaadon mein khoe rahna khayal mein subh-o-sham karna

mere fasane ka wo hai unwan ye baat ab is pe munhasir hai
meri mohabbat ka ye fasana tamam ya na-tamam karna

hain mai-kade mein sabhi barabar ye baat achchhi nahin hai saqi
kisi ko jam-e-sharab dena kisi ko mahrum-e-jam karna

mere nasheman ka ye chaman ab na jaane kyon tang ho gaya hai
isi chaman ko sikhaya main ne bahaar ka ehtiram karna

qafas se chhut kar asir jis dam chaman mein aae to haal ye tha
kabhi nasheman ke bose lena kabhi gulon se kalam karna

main tark-e-ulfat to tum se kar lun magar meri shart sirf ye hai
kabhi nazar se gira na dena kabhi na ye baat aam karna

'zafar' teri dastan-e-gham mein bas ek lafz-e-wafa hai kafi
ye dastan jab sunai jae to is ko harf-e-tamam karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close