jaane wala mujh pe ehsan kar gaya meri aankhon mein samundar bhar gaya us se bichhde ek zamana ho gaya aise lagta hai abhi uth kar gaya kaise bhulun wo qayamat ki ghadi jab judai se mera dil dar gaya zindagi ke sare manzar bujh gae jab meri nazron se wo manzar gaya dil ke bare mein na hum se puchhiye kya bataen us mein kya kya mar gaya bhul jae dil unhen mumkin nahin lazzaten jo pyar ki de kar gaya main to 'nusrat' sabr par majbur hun waqt mere dil pe patthar dhar gaya