jaane walon ke liye tu aur kya le jaega dekh le duniya jahan tak rasta le jaega khwahish-e-guftar rah jaegi phir zer-e-zaban izn to de dega lekin hausla le jaega gunj ban kar laut jaegi meri fariyaad bhi shab ka sannata kahan meri sada le jaega dil se mit jaega ek din dekhne milne ka shauq jitne manzar hain wo aankhon mein saja le jaega lutf phir aaega kya sayyahi-e-dil mein 'nasim' is khandar se jo milega wo utha le jaega