jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha us se bichhda hai koi itna pata deta tha koi kuchh puchhe to kahta ki hawa se bachna khud bhi darta tha bahut sab ko dara deta tha us ki aawaz ki be-dagh sa aaina thi talkh jumla bhi wo kahta to maza deta tha din-bhar ek ek se wo ladta-jhagadta bhi bahut raat ke pichhle-pahar sab ko dua deta tha wo kisi ka bhi koi nashsha na bujhne deta dekh leta kahin imkan to hawa deta tha ek hunar tha ki jise pa ke wo phir kho na saka ek ek baat ka ehsas naya deta tha jaane basti ka wo ek mod tha kya us ke liye sham dhalte hi wahan shama jala deta tha ek bhi shakhs bahut tha ki khabar rakhta tha ek tara bhi bahut tha ki sada deta tha rukh hawa ka koi jab puchhta us se 'bani' mutthi-bhar khak khala mein wo uda deta tha