jaane ye kaisa zahr dilon mein utar gaya parchhain zinda rah gai insan mar gaya barbaadiyan to mera muqaddar hi thin magar chehron se doston ke mulamma utar gaya ai dopahar ki dhup bata kya jawab dun diwar puchhti hai ki saya kidhar gaya is shahr mein farash-talab hai har ek rah wo khush-nasib tha jo saliqe se mar gaya kya kya na us ko zom-e-masihai tha 'umid' hum ne dikhae zakhm to chehra utar gaya