mujhe mehman hi jaano raat bhar ka

mujhe mehman hi jaano raat bhar ka
diya hun doston mein rahguzar ka

sunaun kya ki tulani bahut hai
fasana meri umr-e-mukhtasar ka

chalen kah do hawaon se sambhal ke
bhara rakkha hai saghar chashm-e-tar ka

chale jo dhup mein manzil thi un ki
hamein to kha gaya saya shajar ka

hatae kuchh to patthar thokaron ne
hua to saf kuchh rasta safar ka

jise duniya ne bas aansu hi jaana
farastada tha ek dil ke nagar ka

ghamon mein kis ko main hansna sikhaun
mile bhi qadr-dan koi hunar ka

yahan to fatah-e-alam wahi hai
badalna jis ko aa jae nazar ka

nifaq-e-bahami hai jo abhi tak
khada hai rasta roke 'umar' ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close