jaani hui galiyon mein basar kar nahin pae lekin kabhi pardes mein ghar kar nahin pae har mil ke patthar pe lagae the nishanat sunte hain ki takmil-e-safar kar nahin pae ek tum ho jo khamoshi se bechain kiye ho ek hum hain jo baaton se asar kar nahin pae shahr-e-gham-e-hasti mein hawa tez bahut thi kitne hi charagh apni sahar kar nahin pae kuchh un ki nigahon se haya jhank rahi thi kuchh hum ghalat andaz nazar kar nahin pae ai rasm-e-mohabbat teri tazim ki hum ne koshish to bahut ki thi magar kar nahin pae