ret aankhon mein bhar gaya dariya

ret aankhon mein bhar gaya dariya
kaise aaya kidhar gaya dariya

rasta mil saka na aankhon se
mere andar hi mar gaya dariya

main to pyasa tha khushk sahra sa
mujh mein kaise utar gaya dariya

us ki aankhon ki dekh gahrai
khamushi se guzar gaya dariya

baat kitni thi mukhtasar us ki
wo to kuze mein bhar gaya dariya

phir muqaddar wahan thi barbaadi
jis taraf se guzar gaya dariya

dekhne ki thin us ki maujen phir
baat se jab mukar gaya dariya

dekh kar is qadar talatum ko
meri aankhon se dar gaya dariya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close