jaanta us ko hun dawa ki tarah chahta us ko hun shifa ki tarah hai dahan ghaeb aur kamar anqa khud bhi nayab ho huma ki tarah chaal ne teri fitna-e-mahshar pis dala mujhe hina ki tarah khak chhani bahut pata na mila wo hai nayab kimiya ki tarah is qadar na-tawan 'haqir' hain hum hil nahin sakte naqsh-e-pa ki tarah