kaba-e-dil ko agar Dhaiyega

kaba-e-dil ko agar dhaiyega
yaad rakhiye ki saza paiyega

yaad mein meri jo ghabraiyega
meri turbat pe chale aaiyega

thodi taklif sahi aane mein
do ghadi baith ke uth jaiyega

yaad dilwa ke wo agli baaten
bhari mahfil mein na rulwaiyega

haal-e-dil kahiye to farmate hain
bakte bakte mera sar khaiyega

yak zara aap ko hum dekh to len
baithiye baithiye phir jaiyega

ye 'haqir' aap se darne ka nahin
aankhen bas ghair ko dikhlaiyega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close