jaante ho nahin chalna to yun chalte kyun ho aaj bhi ghafil-e-manzil ho nikalte kyun ho wo dilase hi chhalawe hi faqat dete hain un ki har baat se har bar bahakte kyun ho jab sambhaala hai jawani mein yun khud ko tanha aap aa kar ke budhape mein phisalte kyun ho koi fankar agar shohrat-o-izzat pae martaba milne pe is nam se jalte kyun hain tum sitaron mein kabhi taron mein khoe rahte wahshat-e-dil mein liye ghar se nikalte kyun ho dil-ruba jaan-e-wafa darta hun nazar-e-bad se ban sanwar kar yun zamane mein nikalte kyun ho kaam jo hone hain ho kar hi rahenge sahab ho ke hairan pareshan nikalte kyun ho ishq aafat hai bala hai ye qayamat bhi hai ishq ki aag ke dariya mein utarte kyun ho