na din hi chain se guzra na koi raat meri wo sabz bagh dikhati rahi hayat meri mere wajud ko rahne de sang ki surat kisi nazar mein to aaina hogi zat meri tujhe bhi dil mein faraghat se main samo na sakun kuchh aisi tang nahin hai ye kaenat meri karun to kaun sa unwan ata karun us ko bati hui hai kai qiston mein hayat meri meri shikast-e-ana tod degi khud mujh ko saja ke log nikalenge jab baraat meri sametta hun main nakaamiyon ko jab 'shaiq' mera mazaq udati hain khwahishat meri