jaante ho tum ki kya hai zindagi masala-dar-masala hai zindagi sochiye to ek suhana khwab hai dekhiye to ek bala hai zindagi khar hon jis par ziyaada phul kam ek aisa rasta hai zindagi zahr hai haq mein kisi ke aur kahin chashma-e-ab-e-baqa hai zindagi koi kuchh to koi kuchh samjha ise ek anokha falsafa hai zindagi kaun jaane ye kahan par khatm ho ek nirala silsila hai zindagi maut kya hai mahfil-e-aish-o-nishat mehnat-o-juhd-e-baqa hai zindagi