hum se na hui jurat-e-izhaar-e-tamanna ek umr rahe dil mein liye khar-e-tamanna dil ho gaya hai jab se giraftar-e-tamanna han sah rahe hain tab se hum aazar-e-tamanna ai dost bujha de ki abhi jaan hai baqi ab phunk hi dalegi mujhe nar-e-tamanna lillah nahin koi utar jaane ki surat dosh-e-dil-e-nazuk pe hai wo bar-e-tamanna 'maqbul' isi mein hai jo khushnudi-e-yaran to hum bhi kiye dete hain isar-e-tamanna