jab aablon se karb ke dhaare nikal paDe

jab aablon se karb ke dhaare nikal pade
izn-e-safar ke phir se ishaare nikal pade

jab garm paniyon se meri guftugu hui
to barf ke badan se sharare nikal pade

us waqt apne aap ki mujh ko mili khabar
jab shahr-e-gum-shuda mein shumare nikal pade

ummid-e-bahr-e-nau mein kabhi ghota-zan tha main
kyon gahre paniyon se khasare nikal pade

khauf-e-shab-e-muhib mitane ke waste
suraj ke sath chand sitare nikal pade

raste ke pattharon ne hamein jab bhi di sada
hum ne thakan ke bojh utare nikal pade

hum ko na pa ke hadse apne maqam par
'tabish' hamari khoj mein sare nikal pade


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close