jab aaftab ghar pe bulaya tha sham ne kya kya diye the jin ko jalaya tha sham ne kya kya khushi thi wada-e-mah-e-tamam ki ghar ko bhisht-zar banaya tha sham ne kya kya the khwab raat jo tabir ho gae kya kya dilon mein hashr uthaya tha sham ne kya kya udi thi gardish-e-dauran ke dil mein khak jab ratjage se hath milaya tha sham ne kya kya guman mahakne lage the pas-e-khayal jab muskura ke jam uthaya tha sham ne kya kya sahar ne phul khilae pas--e-shafaq kya kya dayar-e-shab ko sajaya tha sham ne