jab se is shahr-e-be-makan mein hun main tere ism ki aman mein hun gumbad-e-sher mein jo gunjti hai main usi dard ki azan mein hun main ne tanhaiyon ko pa liya hai is liye khwab hi ke dhyan mein hun titliyan rang chunti rahti hain aur main khushbuon ki kan mein hun wahshaten ishq aur majburi kya kisi khas imtihan mein hun khwahishen saya saya bikhri hain aur main dhup ke makan mein hun main hun paikan-e-dard ai 'khurshid' aur ek yaad ki kaman mein hun