jab aah bhi chup ho to ye sahrai kare kya sar phode na khud se to ye tanhai kare kya guzri jo idhar se to ghutan se ye maregi habs-e-dil-e-wahshi mein ye purwai kare kya kahti hai jo kahne do ye duniya mujhe kya hai zindani-e-ehsas mein ruswai kare kya har husn o ada dhans gae aaine ke andar jab rakh hon aankhen to ye zebai kare kya wo zakhm ki har lams naya zakhm lage hai bimari-e-idrak masihai kare kya pal bhar ko ye sauda-e-junun kam nahin hota shahron ke takalluf mein ye saudai kare kya